Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

"...Aur Humney Usko Patharon se Maara!"

"Hello, Agra Fire Service Station."

"Hello....Yahan....Shahganj elake mey Transit building mey aag lag gayi hai, jaldi Fire Van bhejiye."

Siren bajati aage badh rahi thi Fire Van,
Har guzarte pal kay saath lutt raha tha usme baithe Vikal ka chainn.
Transit Building waalo par jaise grahan lag tha gaya,
Unki umeed ka akmatr sahara traffic jam mey tha fasa.
Vyakul Vikal sadak par utar aaya,
Chillakar usne raasta banana chaha,
Par badkismati kisi ko raasta nahi deti,
Itni si baat wo bechara samajh nahi paaya.
Aakhir Van ko raasta mila,
Apni manzil par pahunchne par Vikal aur uske saathiyo ko mila unki kosisho ka sila.

Par ye santosh kay pal tham gaye thay,
Fire Van par aakroshit bheed kay pathar pad rahe thay.
Vikal nay yeh khoon ka ghoont bhi piya,
'Madadgaaro' ko hi niyati ka pathar aisa laga,
Bahar kay zakhmo ki chinta kise thi,
Dard to andar lagi chot nay diya.
Aakhirkar, Transit Building ki cheekho nay,
Bheed kay patharo ko rook liya.

Doosro kay liye bhool gaye ye Vardiwaale apne zakhmo se hui pareshaani,
Transit Building par ab baras raha tha paani,
Kuch dair ko aisa laga jaise iss paani se jald dhul jayege saare gam,
Par bereham takdeer nay phir dhaaya sitam,
Fire Van ka paani ho gaya khatm.

Aur Madad aane mey abhi samay lagta,
Par logo ko jalta hua Vikal kaise dekhta,
Building ki aur badhte huey Vikal par Pathar, gaaliya aur taane baras rahe thay,
Vikal kay haath andaar fhasey logo ko bachane ko taras rahe thay.

Vikal kay sahaas nay saathiyo mey josh bhar diya,
Kuch hi dair mey inn jabaazo nay lagbhag sabhi logo ko bacha liya.

Aag phir se bheeshan ho rahi thi,

Tabhi bheed mey se aawaz aayi ->
"Meri bachchi yahan hai nahi,
kahin wo andar to nahi reh gayi."

Wahan maujood itney logo mey jaise ye vakya sirf Vikal kay kaano mey pada,
Badhavaas sa wo phir building ki taraf daud pada.

Uff.....Pad gaya manhoosiyet ka saaya,
Phir Transit building se koi bahar nahi aaya.

Kisi nay bhi ummeed chhodi nahi,
Intezaar mey sabki aankhein pathar ban gayi.
Aur tab to sabki zubaan jaise sil hi gayi,
Jis bachchi kay liye Vikal andaar gaya tha wo bheed mey hi mil gayi.

Thodi dair baad ->

"Hello.....Sir, Aag par kabu paa liya gaya hai.Iss ghatna mey koi nagrik nahi maara gaya hai."

"Nagrik......you mean kya koi Fire Constable maara gaya hai?"

"Nahi sir....aapne galat kaha.......
EK FIRE CONSTABLE SHAHEED HO GAYA HAI."

No comments:

Post a Comment