Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Sunday, July 11, 2010

जीवन का सच (1)

Kyu safar kisi ka tham jaata hai ?
Kyu raah mai kisi ka saath chhot jaata hai ?
Kyu koi apne vaade poore nahi kar paata hai ?
Kyu samay ko chhod sab ruk jaata hai ?

Kisi ka kalega sarhad par jaan gavata hai,
Kisi kay sar se saaya utth jaata hai.

Kya yahi hai jeevan ?
Itna anishchit,Itna asurakshit.
Phir bhi manav laalach mai,
Apna amulya jeevan kyu lutata hai ?

Saanso ki door hai bahut patli,
Lakshya hai asli,Loobh hai nakli.

Jeete to kai hai,
Amit chhap wahi chhod jaate hai,
Jo apna sarvasva,
lakshya ko de jaate hai.
Asli vyakti wahi hai,
Jo har kisi se bhavnao se judd jaata hai.
Ankahi baato ko,
Pal mai samajh jaata hai.
Uske jaane par,
Koi apne aasu nahi rook paata hai.

Par aaj ki laalchi duniya par taras aata hai,
Jaha aisa aadmi har gali mai maara jaata hai.

To be Continued....(जीवन का झूठ)!

No comments:

Post a Comment