Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

Giri Hui Masti

Kaun hai wo 'chhote' log ?
Bematlab zindagi jee rahe majdoor,
Kya galat kiya 'sahab' nay jo unhe apni gaadi se kuchal diya ?
Apne sahab to anjaan thay bechaare nashe mey majboor.

Aur bhala sahab nay aaj tak kisi ka bura kiya hai ?
Jaake dekho unn majdooro kay gharo mey laakho rupya pahuncha diya hai.
Phir bhi hai ye zalim zindgani,
Kuch 'hearings' tak to masoom sahab ko court ki aupchariktaayein hai nibhani.
Gavaah to apni jaib mey hai,
Par ye NGOs, Human Rights aur Media hai bahut badi pareshaani.

Itne jhanjhato kay baad bhi sahab ki kadr karta hai ye zamana.
Oh, baaton baaton mey bhool hi gaya.....
.....aaj to sahab ko phir se late night party mey hai jaana.

The End!



kuch logo ka thoda sa mazaa kabhi kisi ki zindagi ki barabari nahi kar sakta par asal zindagi mey aesa hota hai. Mai chahta hun ki aap sab apni zindagi mey khoob tarakki karein par jahan bhi pahunche 'insaan' hi bane rahe aur doosro kay jeevan ka mulya samjhe.

1 comment:

  1. The rhyming gets faded due to irregular size of the lines but the style is brilliant....masoom sahab's are becoming a real threat to the society these days.

    ReplyDelete