Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Sunday, July 11, 2010

Dosti

This poem is special as my friend used this to impress his now Girl Friend! Though, he did many other things excluding this to woo her. Year 2004!


Insaan akela bhi reh sakta tha,
Akelepan mey jee sakta tha.
Khushi mey apne khayalo mey khota,
Apne aansu khud hi peeta.

Par aisa jeena bhi kya jeena,
Jisme kisi ka saath naa ho,
Bas patjhad ho,
Kabhi barsaat naa ho.

Rahe naa koi tanhaa,
Naa mile kisi ko tanhaai,
Shayad rab nay dosti isliye banayi.

Ek umeed mere paas hai,
Mujhe ak sachche dost ki talaash hai.
Jiske gamo mey mera bhi gam ho,
Jiski aankhein mere liye nam ho.

Chahe ho dard bhari shaam,
Ya ho khushaal savera,
Bas ak apnepan ki chaav deta rahe,
Mujh par pad rahe uske saaye ka pehra.

No comments:

Post a Comment