Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

Jazba

Tribute to great Indian athlete P.T. Usha.

Ye kavita samarpit hai Bharat kay mahaan athletes mey se ek P.T. Usha ji par.

Uss bachchi mey tha kuch khaas,
Tezi ka hunar tha uske paas.
Uski issi khasiyat ko pehchan mili,
Samay kay saath wo nanhi pratibha,
Ek kushal dhavika kay roop mey khili.

Khud par saare desh ka vishvaas usne tootne naa diya,
Kai antarrashtriya pratispardhao mey Bharat ka sar unncha kiya.
Apne desh ka samman badhane ka usne prann liya,
Bharat ki jholi ko padako se bhar diya.

1984, Los Angeles Olympics. (Women 400 metres, Hurdels) ->

Har pratispardha ki tarah Olympics mey bhi thi poore Bharat ko thi gaurav ki aasha,
Har uss aasha ko poora karne kay liye jee jaan se daud rahi thi Usha.

Pehle se hi sabko 'swarna' ki umeed thi jaagi,
Kyoki Practice Sessions aur Semi Finals mey bhi wo udanpari sabse tez thi bhaagi.

Par wo sabhi umeedien tooti,
Daud kay antim palo mey Usha chuki.
Uss waqt kismat ko thoda sa samman bhi nahi tha manzoor,
Jaanch kay baad bataya gaya ki Kansya kay liye Usha 1 second kay 100ve hisse se reh gayi door.
Nirash Bharat nay iss pal ko kuch aise jiya,
Iss 1 second kay 100ve hisse ko Bharat ka sabse lamba lamha bana diya.
Pehle ki tarah iss Olympic kay baad bhi Usha ko milti rahi safalta,
Bas Olympic ka padak reh gaya unke liye sapna.

Phir bhi Usha nay nahi maani hai haar,
Aaj bhi kheenchta hai unhe iss desh ka pyaar.
Isliye wo khud Usha School of Athletics mey prashikshan dekar kai pratibhao ko rahi hai nikhaar.

Usha ko aasha hai ki aane waale samay mey Bharat itni safaltaayein paayega,
Har koi 1984 kay uss adhure pal ko bhool jaayega.
Apni zindagi kar di iss desh kay naam,
Usha aapke iss jazbe ko salaam.

The End!

-------------------------------------------------------------------------------------------------

Team event Hockey ko chhodkar Bharat vishva kay sarvashestra khel 'Olympics' mey zyada safaltayein nahi paa saka hai. Aazadi kay baad Bharat nay individual events mey ab tak (2004 Athens Olympics tak) keval 4 padak argit kiye hai. P.T. Usha ji ki hi tarah 1960 kay Rome Olympics mey Milkha Singh ji bhi 400 metres mey Bronze Medal, 1/100 second se haare thay. Wo shuruat mey sabse aage daud rahe thay par unki miscalculation kay karan wo beech raaste mey dheeme ho gaye aur jab unhe apni iss galti ka ehsaas hua tab tak dair ho chuki thi. Haal hi mey huey Athens Olympics mey Mens Doubles kay swarna padak ki daavedar Mahesh Bhupati aur Leander paes ki jodi Semi Finals mey durbhagyapoorna tareke se haar gayi par phir bhi unhone Bronze Medal kay liye 4+ Ghanto ka behoshi ki hadd tak pahunchane waala match khela. Aakhir mey Mahesh ko court par hatash baitha dekhkar bahut dukh hua par unke effort par garv bhi ho raha tha.

Aise aur bhi bahut vaakye hai jab Bhartiye khiladi qualifying rounds mey annk talika mey sabse upar rehkar baad mey kinhi kaaranvash aage nahi badh paaye. Itni kum suvidhaaon kay saath waha tak pahunchna aur itna badhiya pradarshan karna bahut badi baat hai.

Iss tasveer ka sukhad pehlu ye hai ki ab Bharat mey buniyaadi khel dhaanche mey bahut sudhaar hua hai. Saath hi ab khelo kay prati logo ka nazariya badalne laga hai aur ab pehle ki tulna mey kai guna zyada log khelo ko apni kamaai ka zariya banane lage hai. Bharat kay udhoy gharane bhi yuva pratibhao ki madad ko aage aaye hai. Bhartiye sena apne "Mission Olympics" kay tehat jagah-jagah pratibhavan sainiko aur nagriko ko aadhunik suvidhaaon kay saath kai kheloka prashikshan de rahi hai. Milkha Singh ji kay bete Jeev Milkha Singh ab vishva vikhyat Golfer ban chukein hai. Aane waale samay mey Bharat vishva khel pridrashya mey bhi apni alag pehchan zaroor banayega.

No comments:

Post a Comment