Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

Sirf 700 Rupaye

Sapno ka shehar Mumbai jaha kai log apni taqdeer....apna naam banane aate hai ussi bheed mey tha ek Raja apne shehar se Mumbai kuch bada karne aaya tha.Stunt Man kay roop mey pehchan banane kay liye uska sangarsh jaari tha.Ghar se door bas yaha uska ek apna tha......uska jigri dost Romeo jo Bollywood Films mey lighting ka kaam karta tha aur jo aaj kuch zyada hi khush tha.

"Hey, Raja,
Baj gaya tera baja,
Kya re tapori,
Teri to nikal padi.
Ab chhod ye rajai,
Utth bhi jaa mere Bhai."

Raja - Yaar,tu itni sabere kaai ko aaya ?

Romeo - Kisi bade banner ka kaam hai aaya,
Stunt Master tere ko abhich bulaya.
Bas tu ek baar inn bade logo ki nazaro mey aa jaaye,
Tab to apna Raja kisi kay haath naa aaye.
Starting hoegi to kum paisa milega,
Pun baad mey to tu noto mey khelega.
Abi ka to tu stunt ka 500 samajh,
Aur 200 Rupalli Medical.....badi party ka bada magaj.
Master jaisa bole waisaich karne ka.

Raja - Fokat tension kaai ko....apun ko darr nahi hai marne ka.

Romeo - Aye.....Raja paisa khoob kamana,
Pun yaar dosto ko bhool mat jaana.

Dono ki khushi ka nahi tha thhikana,
Muskurakar dono huey ravana.

Romeo - Saab,ye naya ladka,Raja.
Oye Punter andar aaja.

Director - Dekho Raja,Bahut hi khatarnaak stunt ki hai shooting.

Romeo - Bas kya saab,apne Raja mey bhi hai bahut daring.

Director - Car ko iss track se uss track par hai kudana,
Ab bhi bata do,kya tum chahte ho iss stunt ko nibhana ?

Raja - Saab,Apun se judde bahut se sapno ko haquiqat hai banana,
Apno kay liye kisi ko bhi aa jaata hai jaan ki baazi lagana.

Iss junoon ko to safalta gayi mil,
Raja jeet gaya par ho gaya chotil.

Zindagi ka ye shot bhi "Okay" kar Raja nay Rs. 700 liye,
Raja aur Romeo ab Doctor kay paas chal diye.
Marhampatti karvakar Raja nay poocha,

"Doctor Saab, kitne paise huey ?"

Doctor - Zyada nahi............sirf 700 Rupaye.


Saathiyo,Kitne hi aise log hai jo jitni mehnat karte hai uska bahut kum hissa unhe milta hai ya kabhi-kabhi wo bhi nahi.Dukh ki baat ye hai ki iss duniya mey aise kai log safal hai jo doosro ki mehnat ko apna naam dete hai.Raja to bas ek udharan tha.........aisi karodo partibhaayein jo iss duniya kay taur tareko kay neeche dabb kar reh gayi.To agli baar kisi kaam ko aap sarahe to ye jaan lein ki wo kiski mehnat ya kaam ka natija hai.

Kuch dino baad ->

Raja aur Romeo pehli baar Balcony mey baitthkar uss film ka 70 mm kay parde par maza uttha rahe thay,

"Hero" kay Stunts par logo ki taaliyan aur shabd Raja ko bahut sukoon pahuncha.

Bas itna jaan na chahta hun ki wo din kab aayega,

Jab uss Hero ki jagah Romeo ka Raja paayega.

1 comment: