Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

'Wo' Din Kab Aayega?

Dango ki aag mey shehar dehak raha tha,
Har gali mey bikhra khoon mehak raha tha.
Darr se har koi tha sehma,
Bahar se accha lag raha tha iss ghut tey kamre mey rehna.

Har kisi ko thi yahi aasha,
Sab de rahe thay ak-doosre ko yahi dilasa,
Ki ab ye bura waqt aur nahi thehar payega,
Sab kuch pehle jaisa ho jayega.

Phir bhi naa jaane kyu darr raha tha sabka mann,
Tabhi jaani-pehchani cheekho nay paida kar di sabme sirhan.
Bahar jhankhar dekha to laga jaise unki kismat gayi lut,
Dono gharo kay nanhe chiraag Ram, Raheem gaye thay peeche chhut.

Iss gali mey har jagah bikhra tha surkh rang,
Do nanhi jaan aur daav par laga rahi thi ye jung.

Darindey Ram,Raheem kay peeche aa rahe thay,
Andaar dono ghar kay log badhavaas hokar chilla rahe thay.
Jab haivaan masoomo ko zakhm dene lage,
Tadapte Ram aur Raheem ko dekh ruk naa sake unke sage.

Ab sadak par phir do guto mey thi jung,
Dehshat aur Zindagi kay maksad kay sang.
Dono gharo kay Pita, Maa, Behan aur Bhai,
Ladd rahe thay zindagi ki ladai.

Yahan bhi Darinde baazi maar gaye,
Zindagi kay liye ladne waale........Zindagi haar gaye.

Police Siren nay jaise Farishtey ka kaam kiya,
Dono masoomo ko bacha liya gaya.

Darinde kisi aur gali ka gala raitney,
Koi aur aashiyana jalane aage badh chale.
Apno ko utthane ki nakaam kosisho sey
Rundh gaye thay unn dono kay gale.

Ab tak aabaad inn aashiyano ki takdeer jaise soo gayi thi,
Aaj beech sadak par masoomo kay saath insaniyat bhi roo rahi thi.

YE VAADA RAHA KI APNE VATAN KAY LIYE KUCH AISA KARUNGA,
AB SE KISI RAM,RAHEEM KO AISE RONAY NAHI DUNGA.

HAAN......BAHUT RONA AATA HAI,
JAB DESH KO KHILONA SAMJHA JAATA HAI.

AB TO BAS YAHI DUA HAI,
KI JAB AISE RAM, RAHEEM BADE HO JAYENGE,
TO EK AISA DESH BANAYENGE,
JAHAN SAB MILKAR SUKOON SE REH PAYENGE.

No comments:

Post a Comment