Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Tuesday, August 10, 2010

Stunt

Ek mahatvkanshi film project jo aaj tak ki sabse zyada stunts waali film banne jaa rahi thi jiske baare mey har jagah characha abhi se tez ho gayi thi. Uss film ki kahani ek laalchi builder ki thi jiski nazar ek poore gaon ki zameen par thi aur jisse hathiyaane kay liye wo kuch bhi karne ko tayyar tha…..gaon waalo ki jaan bhi lena uske liye khel tha par uska ek dardnaak annt hota hai.

Itne saare stunts aur production ka budget kum karne kay liye uss film kay producer nay ek door daraz kay peechde gaon ko chuna, jaha kay gaon waalo se usse shooting kay liye badi jagah aasani se bhi mil gayi aur film kay liye bahut hi kum paiso mey khatarnaak stunts bina ‘safety equipments’ kay saath karne ko bahut se bhole bhaale gaon waale raazi ho gaye.

Wo laachi Producer saare intezaam se santusht hokar apne production house ka kaam sambhalne waapas Mumbai chala jaata hai. Wo iss film ki beech beech mey khabar lene laga.Ussi Producer kay nirdesho kay anusaar film unit dwara bina safety measures kay gaon waalo se bahut se khatarnaak stunts karvaye gaye jisme kai gaon waalo maare gaye ya ghayal ho gaye. Film ki kaafi shooting abhi baaki thi aur inn durghatnaao kay kaaran film unit par sthaniye logo aur police ka dabaav badh raha tha.

Gaon waalo ka gussa dekh film unit producer ko salah deti hai ki wo Mumbai se hi gaon waalo ko film ki kamaai ka 99% hissa dene ka kagazi vaada kar lijiye. Baad mey unhe thoda bahut muaawza dekar iss 99% profit baantne waale papers ko farzi saabit karva denge….(”Ye bevkoof gaon waale hum logo se case ladne aa jaayein wo hi bahut hoga….usse jeetna to door ki baat hai.”) Producer ye baat maankar gaon mey wo legal papers bhijwa deta hai jinme likha hota hai ki iss film se honay waali kamaai ka 99% hissa gaon waalo ko diya jaayega. 1% profit bhi film ki unit ka kharcha poora karne kay liye liya jaa raha hai. Iss film se gaon ko bahut badi aarthik madad milegi aur faayda hoga. Aisa karne se gaon waalo aur police ka dabaav phir se kum ho jaata hai. Kuch dino baad, Film ki unit ab producer se phone par ajeeb tarah se baatein karne lagi thi. Producer ko laga ki wo sabhi gaon mey itne zyada din rehne kay kaaran irritate ho gaye honge. Kuch hi dino mey film kay director ka Producer ko phone aata hai ki film ka aakhri schedule shoot hona hai jiska udghatan film ki poori unit aur gaon waale aapki upastithi mey aapke haatho se hi chahte hai. Waha pahunchkar sabhi ka bartaav usse atpatta sa lagta hai. Sabhi aakhri scene ki shooting turant chahte thay.

Aakhri scene ek bridge par shoot hona tha producer jaise hi ribbon kaat ta hai. Ek daravni hassi kay saath director bhoot mey badal jaata hai aur bolta hai. “Lights……camera……action.” Ye sunte hi ab tak uss film mey kai stunts kay dauraan maare gaye gaon waalo kay shat vikshat shav achanak se prakat ho kar uss producer ki taraf badhte hai…..darr se kaamp raha producer madad kay liye film Unit kay logo ki taraf daudta hai par wo bhi bhooto mey badal chuke hotay hai. Tab uss producer ko film ka bhoot director batata hai ki marre huey gaon waalo ki aatmao nay poori film unit ko bhi maar daala tha.....aur issi kaaran unka bartaav ajeeb ho gaya tha. Producer ki dardnaak maut kay saath hi film ka aakhri schedule poora hota hai. Uss film kay prints apne aap hi unn legal papers ki copy kay saath desh bhar kay distributors kay paas pahunch jaatein hai. Film superhit hoti hai aur marre aur ghayal gaonwaalo kay parijano ko unka haq milta hai.

The End.

No comments:

Post a Comment