Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, October 17, 2013

Interview in The Aryanist Journal



Atharv – Aajkal aap kya kar rahe hai?
Mohit – Dehradun k Petroleum University se MBA k baad mey apne shehar Meerut mey hi ek niji shikshan sansthan mey padha raha hun. Kuch behtar job hone tak to yahin rahunga.

Atharv -  School me aapko subse jyada kya pasnd tha?
Mohit - Meri schooling 2 jaagah huyi. Class 5 tak Agra mey aur uske baad Lucknow mey. To Agra mey to khel kood aur toli banakar bade bade plans banane mey maza aata tha, jinme se sakaar bahut kum hi hote the. Naam, jagah, raaste sab yaad hai aur hamesha yaad rahenge.

Atharv -  Lekhan ko le kr aapki ichha aakhir kya h?
Mohit - Lekhan agar prabhavi ho to kai muddo par logo ko jagruk karne k saath-saath unhe is disha mey kuch yogdaan dene ko bhi prerit kar sakta hai. Mai dil se likhne ki kosish karta hun aur chahta hun ki zyada se zyada logo tak meri rachnayen pahunche.

Atharv – Aap khud ko better author maante hai ya better poet?
Mohit – Ye readers zyada behtar bata sakte hai. Waise comparison mey meri poems ko better reviews milte hai par stories se aur mai poetry mujhe sehaj lagti hai par kahaniyon par mai zyada mehnat karta hun. Poetry ka impact-effect shayad isliye adhik hai tulna mey kyoki wo kabhi-kabhi likhta hun, aur poori rachna kuch shabdo mey jhalakti hai jabki kahani mey binduo ka vistaar ho jata hai jis se padhne waale ko sabhi bindu eksaath hit nahi kar paate.

Atharv – Aur kya hobbies h aapki?
Mohit – Sports mey ruchi hai jo ab khelne se sirf dekhne mey badalta jaa raha hai, statistics, politics, environment, photography, singing….par baaki hobbies par samay kum hi deta hun.

 Atharv - Aap kisi lekhak se prerit hain? Agr ha to kyu?
Mohit - Unfortunately, maine bahut kum sahitya padha hai, ab pata nahi ye achchhi baat hai ye kharab par kisi lekhak se prerit nahi hun. Haan, vyaktitva aur rachnao k maamle mey Bharat Kumar Negi ji mere pasandida hai kyoki unke kaam mey vividhta hai aur wo prayogatmak kaam pesh karte rehte the.

Atharv – Aapki apni best rachnayen aur books kaunsi lagte hai?
Mohit – 2006-2007 mey kahani jaisi poems likha karta tha pehle tabhi ye idea dimaag mey aaya aur kuch hi der mey saakaar ho gaya “Amara Last Wish Poora Ho Gaya!” Isko likhne k baad jab dobara padha to unparallel feeling thi…rongte khade ho gaye the. Uske baad bahut poems, stories likhi par mere scale par uske barabar abhi tak kuch nahi aaya. Kahaniyon mey Maro Mere Saath!, Naritva, Bacha Lo! Par kaafi dimaag khapaya tha. Books mey Desi-Pun, Poetic-Kavya Comics, Bonsai Kathayen, 84 Tears. Abhi lekin ek kaam mey poori kasar nahi nikli kuch dream projects hai jo agar ho jaaye to ye list badal jaaye.



Atharv - So aap jyadatar kya likhtey hain? books, novels, short stories, blogs ityadi...
Mohit - Zyadatar mai kahaniyan aur articles hi likhta hun. Koshish karta hun beech beech mey kavitayen aur research based matter likhun.

 Atharv - Aapki rachnayein hum kahan se le sktey hain?
Mohit - Mai kaafi free ebooks k roop mey apne works rakhta hun. Jo works free nahi hai wo Goodreads, Pothi.com, Writers.net, Instamojo, Readwhere, Roobaru Duniya, Amazon.com aadi websites par listed hai.

Atharv – Aap samaj seva se bhi jude hai?
Mohit – Lucknow mey College time mey zyada active tha aur lagataar 4-5 saal kuch sansthaon k liye kaam kiya. Ab samay k abhaav mey pehle ki tarah to karyarat nahi hun par samay milne par events mey jata hun ya apne lekh, kahani aadi unhe bhejta rehta hun.

 Atharv - Apni kinhi ek ya do book "name btayein" k mukhya patr ki bhumika me kis abhineta-abhinetri ko dekhna pasnd krenge?
Mohit - Mai “Desi-Pun!” aur “Bonsai Kathayen” ki kuch short stories mey Arjun Rampal, Dharemdra Sahab, Isha Koppikar aur Deepika Padukone ko dekhna chahunga.




Atharv - Writer bnne ka nirnay kb liya? Kya aap full time likhte hai ya part time?
Mohit - Likh to bachpan se raha hun par School time k baad college mey lekhan ko theek se samay dene ka mauka mila. Mai part time likhta hun.

Atharv - Writing k liye ideas kahan se latey hain?
Mohit - Events, behavior, social issues k naye samikaran sochta hun ek alag parivesh k saath jo pehle kabhi na hua ho. Ideas k baad shabdo ka sahi chunav bhi zaroori hai.

 Atharv - Likhne me subse jyada mushkl aur aasan kya hai, Kuch apne anubhav batayen?
Mohit - Ye baat har lekhak par alag baithti hai. Mai Comedy, Adventure, Horror, Social, Tragedy themes par khud ko zyada sehej pata hun wahin Suspense, Thriller, Romantic genres par maine kum likha hai. Lekhan mey sabse mushkil apni ideology se upar uthkar nishpaksh tareeke se likhna. Aesa consistently bahut kum log kar paate hai. Idea sochna aasaan hai exam se pehle, nahate waqt aur uske baad khaali samay mey usko kahin likh lena mushkil…..he he…



Atharv – Lekhan se juda sabse priy moment?
Mohit – Jab aapke kaam ko saraha jata hai to achchha lagta hai. Kai logo ne mujhse kaha hai ki mera lekhan unhe inspire karta hai jo mere liye bahut bada compliment hai. Sabse khaas moment ek budhe Sikh dampatti ki call thi UK se jinhone 84 Tears padhi thi, ab mujhe pata nahi unhone mera number kaise dhunda (mai puchhna bhi bhool gaya), par kuch minutes mey itni shabashi pehle kabhi nahi mili. Baaki chhote chhote gestures jo log apna samay nikal kar khaas mere liye karte hai wo dekhna bhi sukhad anubhav hai.

Atharv - Ebook, traditional paper, hard back... aap kis format me padhna pasand krtey hain?
Mohit - Traditional paperback ki hai par Computers, Laptop k alawa handheld devices badh jaane se e-books ka market bahut badh gaya hai.

Atharv - Aajkal kya padh rhe hain?
Mohit - Mujhe ek dost ne Windmills of the Gods (Sidney Sheldon) ki gift kit hi, beech mey latki huyi hai kaafi time se, Novels badi mushkil se khatm hoti hai mujhse isliye ab tak bahut kum padhi hai. Comics mey Holy Cow Entertainment ki Ravanyan Finale # 1 hai mere saamne.

Atharv - Aap apni books ki marketing kiss tarah krtey hain ? Kya aapne kabhi PR agency ka use kiya h?
Mohit – Mai Social Media k saath-saath bahut si websites, communities mey active hun aur wahan apni Books ya Works se related info share karta hun, saath hi achchhi SEO websites par apni Books ki listing add karta hun. College time mey kuch NGOs se juda tha to unke events, seminars ko bhi as a platform isteymaal karta tha, jis se meri mailing list mey kai naam jude aur kuch sites par achchhi sankhya mey regular followers mile. Aage aur bade level par promotion karne ki ichchha hai.

Naye authors, artists ko mera yahi suggestion hai ki unitary approach apnaye aur kaam karte chale. Dheere dheere aapko aur aapke kaam ko sarahne waale logo ka daayra badhta chala jaayega. Ekdum se success paane ki sochna kadam kadam par khud ko nirash karna hoga.

Atharv - Aapki favorite book?
Mohit – Meri favorite book hai Shantaram (Gregory David Roberts) jo 1980 mey Australia se Bharat bhaage apradhi ki zindagi par aadharit hai. The God of Small Things (Arundhati Roy) ka style bhi mujhe kaafi pasand aaya tha.
  
Atharv - Favorite movies and why?
Mohit - Schindler’s List, Shawshank Redemption aur Hindi movies mey kids movie Halo (1996), in movies ki themes touching hai aur ek tagda impact chhodti hai ye dekhne waale par. In movies k actors ko dekhkar khud acting karne ka mann karne lagta hai.

 Athrav - Kin prasidhh vyaktiyon se milne ki ichha rakhtey hain?
Mohit - Kuch bhale Sadhu-Santo se mil chuka hun, Events mey kai Comic artists-writers se bhi mil chuka hun. Ek to mujhe Singer Dana Glover se milna hai, ek Childhood hero Shawn Michaels…baaki sports, movies mey to list to lambi hai…

Atharv - Readers aapke work k barey me aur jyada kaha jann sktey hain?
Mohit - Google aur doosre search engines par mere naam k saath mere pseudonyms (Trendy Baba, Trendster) aur books, works k search suggestions hai jahan bahut se works mil jaayenge.



1 comment: