Atharv – Aajkal aap kya kar rahe
hai?
Mohit – Dehradun k Petroleum
University se MBA k baad mey apne shehar Meerut mey hi ek niji shikshan
sansthan mey padha raha hun. Kuch behtar job hone tak to yahin rahunga.
Atharv - School me aapko subse jyada kya pasnd tha?
Mohit - Meri schooling 2 jaagah
huyi. Class 5 tak Agra mey aur uske baad Lucknow mey. To Agra mey to khel kood
aur toli banakar bade bade plans banane mey maza aata tha, jinme se sakaar
bahut kum hi hote the. Naam, jagah, raaste sab yaad hai aur hamesha yaad
rahenge.
Atharv - Lekhan ko le kr aapki ichha aakhir kya h?
Mohit - Lekhan agar prabhavi ho
to kai muddo par logo ko jagruk karne k saath-saath unhe is disha mey kuch
yogdaan dene ko bhi prerit kar sakta hai. Mai dil se likhne ki kosish karta hun
aur chahta hun ki zyada se zyada logo tak meri rachnayen pahunche.
Atharv – Aap khud ko better
author maante hai ya better poet?
Mohit – Ye readers zyada behtar
bata sakte hai. Waise comparison mey meri poems ko better reviews milte hai par
stories se aur mai poetry mujhe sehaj lagti hai par kahaniyon par mai zyada
mehnat karta hun. Poetry ka impact-effect shayad isliye adhik hai tulna mey
kyoki wo kabhi-kabhi likhta hun, aur poori rachna kuch shabdo mey jhalakti hai
jabki kahani mey binduo ka vistaar ho jata hai jis se padhne waale ko sabhi
bindu eksaath hit nahi kar paate.
Atharv – Aur kya hobbies h
aapki?
Mohit – Sports mey ruchi hai jo
ab khelne se sirf dekhne mey badalta jaa raha hai, statistics, politics,
environment, photography, singing….par baaki hobbies par samay kum hi deta hun.
Atharv - Aap kisi lekhak se prerit hain? Agr ha to kyu?
Mohit - Unfortunately, maine
bahut kum sahitya padha hai, ab pata nahi ye achchhi baat hai ye kharab par
kisi lekhak se prerit nahi hun. Haan, vyaktitva aur rachnao k maamle mey Bharat
Kumar Negi ji mere pasandida hai kyoki unke kaam mey vividhta hai aur wo
prayogatmak kaam pesh karte rehte the.
Atharv – Aapki apni best rachnayen
aur books kaunsi lagte hai?
Mohit – 2006-2007 mey kahani
jaisi poems likha karta tha pehle tabhi ye idea dimaag mey aaya aur kuch hi der
mey saakaar ho gaya “Amara Last Wish Poora Ho Gaya!” Isko likhne k baad jab
dobara padha to unparallel feeling thi…rongte khade ho gaye the. Uske baad bahut
poems, stories likhi par mere scale par uske barabar abhi tak kuch nahi aaya. Kahaniyon
mey Maro Mere Saath!, Naritva, Bacha Lo! Par kaafi dimaag khapaya tha. Books
mey Desi-Pun, Poetic-Kavya Comics, Bonsai Kathayen, 84 Tears. Abhi lekin ek
kaam mey poori kasar nahi nikli kuch dream projects hai jo agar ho jaaye to ye
list badal jaaye.
Atharv - So aap jyadatar kya
likhtey hain? books, novels, short stories, blogs ityadi...
Mohit - Zyadatar mai kahaniyan
aur articles hi likhta hun. Koshish karta hun beech beech mey kavitayen aur
research based matter likhun.
Atharv - Aapki rachnayein hum kahan se le sktey hain?
Mohit - Mai kaafi free ebooks k
roop mey apne works rakhta hun. Jo works free nahi hai wo Goodreads, Pothi.com,
Writers.net, Instamojo, Readwhere, Roobaru Duniya, Amazon.com aadi websites par
listed hai.
Atharv – Aap samaj seva se bhi
jude hai?
Mohit – Lucknow mey College
time mey zyada active tha aur lagataar 4-5 saal kuch sansthaon k liye kaam
kiya. Ab samay k abhaav mey pehle ki tarah to karyarat nahi hun par samay milne
par events mey jata hun ya apne lekh, kahani aadi unhe bhejta rehta hun.
Atharv - Apni kinhi ek ya do book "name btayein" k mukhya
patr ki bhumika me kis abhineta-abhinetri ko dekhna pasnd krenge?
Mohit - Mai “Desi-Pun!” aur
“Bonsai Kathayen” ki kuch short stories mey Arjun Rampal, Dharemdra Sahab, Isha
Koppikar aur Deepika Padukone ko dekhna chahunga.
Atharv - Writer bnne ka nirnay
kb liya? Kya aap full time likhte hai ya part time?
Mohit - Likh to bachpan se raha
hun par School time k baad college mey lekhan ko theek se samay dene ka mauka
mila. Mai part time likhta hun.
Atharv - Writing k liye ideas
kahan se latey hain?
Mohit - Events, behavior,
social issues k naye samikaran sochta hun ek alag parivesh k saath jo pehle
kabhi na hua ho. Ideas k baad shabdo ka sahi chunav bhi zaroori hai.
Atharv - Likhne me subse jyada mushkl aur aasan kya hai, Kuch apne
anubhav batayen?
Mohit - Ye baat har lekhak par
alag baithti hai. Mai Comedy, Adventure, Horror, Social, Tragedy themes par
khud ko zyada sehej pata hun wahin Suspense, Thriller, Romantic genres par
maine kum likha hai. Lekhan mey sabse mushkil apni ideology se upar uthkar
nishpaksh tareeke se likhna. Aesa consistently bahut kum log kar paate hai. Idea
sochna aasaan hai exam se pehle, nahate waqt aur uske baad khaali samay mey
usko kahin likh lena mushkil…..he he…
Atharv – Lekhan se juda sabse
priy moment?
Mohit – Jab aapke kaam ko
saraha jata hai to achchha lagta hai. Kai logo ne mujhse kaha hai ki mera
lekhan unhe inspire karta hai jo mere liye bahut bada compliment hai. Sabse
khaas moment ek budhe Sikh dampatti ki call thi UK se jinhone 84 Tears padhi
thi, ab mujhe pata nahi unhone mera number kaise dhunda (mai puchhna bhi bhool
gaya), par kuch minutes mey itni shabashi pehle kabhi nahi mili. Baaki chhote
chhote gestures jo log apna samay nikal kar khaas mere liye karte hai wo dekhna
bhi sukhad anubhav hai.
Atharv - Ebook, traditional
paper, hard back... aap kis format me padhna pasand krtey hain?
Mohit - Traditional paperback
ki hai par Computers, Laptop k alawa handheld devices badh jaane se e-books ka
market bahut badh gaya hai.
Atharv - Aajkal kya padh rhe
hain?
Mohit - Mujhe ek dost ne
Windmills of the Gods (Sidney Sheldon) ki gift kit hi, beech mey latki huyi hai
kaafi time se, Novels badi mushkil se khatm hoti hai mujhse isliye ab tak bahut
kum padhi hai. Comics mey Holy Cow Entertainment ki Ravanyan Finale # 1 hai
mere saamne.
Atharv - Aap apni books ki
marketing kiss tarah krtey hain ? Kya aapne kabhi PR agency ka use kiya h?
Mohit – Mai Social Media k
saath-saath bahut si websites, communities mey active hun aur wahan apni Books
ya Works se related info share karta hun, saath hi achchhi SEO websites par
apni Books ki listing add karta hun. College time mey kuch NGOs se juda tha to unke
events, seminars ko bhi as a platform isteymaal karta tha, jis se meri mailing
list mey kai naam jude aur kuch sites par achchhi sankhya mey regular followers
mile. Aage aur bade level par promotion karne ki ichchha hai.
Naye authors, artists ko mera yahi suggestion hai ki unitary
approach apnaye aur kaam karte chale. Dheere dheere aapko aur aapke kaam ko
sarahne waale logo ka daayra badhta chala jaayega. Ekdum se success paane ki
sochna kadam kadam par khud ko nirash karna hoga.
Atharv - Aapki favorite book?
Mohit – Meri favorite book hai
Shantaram (Gregory David Roberts) jo 1980 mey Australia se Bharat bhaage
apradhi ki zindagi par aadharit hai. The God of Small Things (Arundhati Roy) ka
style bhi mujhe kaafi pasand aaya tha.
Atharv - Favorite movies and
why?
Mohit - Schindler’s List, Shawshank
Redemption aur Hindi movies mey kids movie Halo (1996), in movies ki themes
touching hai aur ek tagda impact chhodti hai ye dekhne waale par. In movies k
actors ko dekhkar khud acting karne ka mann karne lagta hai.
Athrav - Kin prasidhh vyaktiyon se milne ki ichha rakhtey hain?
Mohit - Kuch bhale Sadhu-Santo
se mil chuka hun, Events mey kai Comic artists-writers se bhi mil chuka hun. Ek
to mujhe Singer Dana Glover se milna hai, ek Childhood hero Shawn
Michaels…baaki sports, movies mey to list to lambi hai…
Atharv - Readers aapke work k
barey me aur jyada kaha jann sktey hain?
Mohit - Google aur doosre
search engines par mere naam k saath mere pseudonyms (Trendy Baba, Trendster)
aur books, works k search suggestions hai jahan bahut se works mil jaayenge.
Writers.net
: http://www.writers.net/writers/98387
Good work bro... Keep up!!
ReplyDelete