Ek nayi duniya...ek nayi manzil,
Iss aur kheenche aate hai naa jaane kitne dil.
Ye desh bahut kuch deta,
Kaiyon ki naiya kheta.
Iss samridh sabhyata se anjaan,
Aate hai door - door se mehmaan.
Lekin ab ye desh badla sa hai lagta,
Yahan har koi paise kay peeche bhaagta.
Wo log Bharat ki khaasiyaton ko dekhne aate,
Par nirash hokar apne desh jaate.
Issi tarah kab se paryatak laalchiyon se lut te rahe,
Kya ab apne desh mey Mehmaan...Bhagwaan nahi rahe?
Vatan par lagao naa yun daag,
Anginat kurbaniyon se bani hai 'Hind' ki saakh.
Channd paiso kay liye desh ka sir nahi jhukaya jaata,
Thode faayde kay liye imaan nahi gavaya jaata.
No comments:
Post a Comment