Tyoharo ki thi dastak,
Mela badha raha tha shehar ki raunak.
Gudiya ka baal mann issi baat se tha pareshaan,
Meley kay baare mey sochne kay alawa uske paas nahi tha koi kaam,
Jab se padoosi nay apne ladke ko mela ghuma diya,
Tab se Gudiya nay apni zidd se saara ghar apne sar par uttha liya.
Sabhi nay usse samjhane ki khoob ki kosishein,
Par tham hi nahi thi Gudiya ki farmaishein.
"Gudiya, meley mey kuch nahi hota."
Gudiya - Papa joot bole aap.... meley mey naa....wo naa... jhuley hotay hai, dukaane hoti hai....aur naa...khane, khilonay, aur bahut saari cheeji hai hoti.
"Beti bheed mey bachche pareshaan hai hotay,
Unhe kuch nahi milta aur dikhta hai phir wo bahut hai rotey.
Tum mela kaise dekhogi ?"
Gudiya - Mai jaldi se naa chaat, rasmalai, khaa lungi aur baraf waala gola aapki goodi mey mela dekhte huey khaa lungi.
Mele mey jaane kay liye Gudiya nay itna kiya sangarsh kada,
Uske pita ko uski zidd kay aage jhhukna pada.
Wo apni iss jeet ka poora anand lagi lene,
Uski khushi uske pita ko lagi sukoon dene.
Jaise jaise uske pita nay uski farmaishon ko poora kiya,
Gudiya nay poora mela khreedne ka mann bana liya.
"Papa, batashe ki thaal,
Papa, budhiya kay baal,
Papa, jadoo ka khel,
Papa, badi waali rail."
Jadoo, khane, khel, khilone, gaaje, baaje,
Sab feeke lag rahe thay baap beti ki iss jodi kay aage.
"Beti, ab chalte hai, bahut ghum liye."
"Papa, bas...wo gudiya...chiye."
"Bete, itni zidd nahi karte."
"Chiye....chiye....chiye."
Muskurakar Gudiya kay pita uske liye gudiya lene chal diye,
Bheed mey unke haath chhut gaye,
Phir bhi naa thi koi kami,
Har waqt dono ki nazre ek doosre par hi thi jami.
Pita kay haath mey gudiya dekhkar unki Gudiya chehak utthi,
Par palak jhaapakte hi uski aankhein ek dhamake ki chamak se dehak utthi.
Gudiya ko dikha insaniyat ka chehra naya,
Boom!!!...
....Aur meley ka manzar maatam mey badal gaya.
Har aur bikhri thi laashe,
Ghayal lage thay karahne,
Barood aur khoon kay sangam ki gandh lagi thi aane.
Gudiya to ab bhi ussi aur dekh rahi thi lagaye badi aas,
Iss badle manzar par wo nahi karna chahti thi vishwaas.
Nanhi si jaan ki aankhein tabhi gayi thi pathra,
Jab usne apne pita ko chithaddo mey badalte dekha.
Jaate jaate bhi uske pita nay uski farmaish poori kar di,
Gudiya ki manchahi gudiya uske kadamo mey adhjali si thi padi.
Bantvare, logo.......mey kaun sahi hai kaun galat samajh nahi aata,
Par itna jaanta hun ki mazhab, janta, etc ko kuch logo kay matlab kay liye barso se issi tarah isteymaal hai kiya jaata.
Kashmir, Sikkim, Punjab, Aasam.....kya poora Bharat hi le jaaiye,
Par pehle masoomo ki khushi aur aisi Gudiyaon ka bachpan lautaiye.
No comments:
Post a Comment