Mauke milne par mujhe wo satati,
Par har kisi se shaitaan mujhe batati,
Upar se har shararat ka credit mujhe dilvati.
Waise to wo bahut kum khaati,
Par fast food, chocolate, soft drinks, par ladne marne tak baat pahunch jaati.
Didi ki har cheez samay par tayyar ho jaati,
Ek mai tha jisko school kay liye hamesha Mommy tayyar karvati,
Bachpan bhar mai sochta raha ki wo apni books par kis cheez se cover hai chadhati.
Khud se koi kaam bigad jaata to ro-peet kar bach jaati,
Meri baari mey mujhe khoob chidhati.
Apni cheezon kay liye mujhe zabardasti bazaar daudati,
Pata nahi kaise jaan boojh kar itne paise deti thi ki unka samaan to poora aa jaaye par mujhe naa mil paaye ek bhi toffee.
Raksha Bandhan, Kanjak, Bhaiya dooj, par khoob paise bhunati,
Jisme se badi mushkil se apne chhote bhai ko koi 'chijee' dilvati.
Mai bhi unhe bahut satata,
Par kai baar raat mey darr lagne par unke bed par so jaata.
Waqt guzra aur unki shaadi ka din aaya,
Unke saath guzra har pal...vaakya mujhe yaad aaya,
Mai phir se darr gaya.....
Mujhe apni didi ko khoney ka darr lag raha tha.
'Taaron ki chhaon' mey unki doli utthi,
Mai bas yahi manata raha ki abhi wo utarkar mujhse pehle ki tarah ladengi.
Bahut rulati hai,
Bahut yaad aati hai,
Jab behan vida ho kar jaati hai.
No comments:
Post a Comment