Ye kahani hai "All India Jungli Board" dwara maanyta prapt Ek aise school ki jiske 11th aur 12th standard kay vidhyarthiyon kay ek doosre se prem kay kaaran unn sab ki zindagi badal gayi.....yaani ho gaya ulatpher.
Makhan - Yaar, Sheru suna hai ki iss baar farewell 12th ka result aane kay baad diya jaayega, taaki hoonhaar students ko sammanit kiya jaa sake.
Hariya - Nahi, shayad chunaavo ki wajah se farewell sthagit ho gaya hai.....ya school waalo ko 12th kay students dwara exams pass karne ka bharosa nahi hai.
Moti - Wajah chahe jo bhi ho par humare pyare seniors ab humey chhod kar chale jaayenge.
Sheru - Haan, Yaad kar unn sabke purse ka 5 centimeters to hum sab milkar kum kiya karte thay. Unhi ki wajah se aas paas kay fast food waalo ko achcha roozgaar milta tha. Yaaro, kuch socho hum itne pyare seniors ko aise nahi jaane de sakte.
Moti - Mai soch chuka hun. Humey poore 11th kay saare sections se chanda ikkhatta karna chahiye.
Hariya - Iss se kya hoga ?
Moti - Abe, Hariya tu dimaag se hamesha banjar hi rahega. Jo hoga wo Jungli Board kay mukhyalay mey pata chal jaayega.
11th kay sabhi students chanda jama karke Jungli Board kay mukhyalay mey uss board kay adyaksh Junglesh kay paas jaate hai.
Sheru - Sir, ye lijiye 20,000 rupaye aur saare 12th kay students (150 students), jo Jungli Senior Secondary School mey padhte hai ko fail kar dijiye.
Junglesh - Chup karo, tum logo se zyada to tumhare hi school kay Nursery kay bachcho nay apne furniture kay liye diya tha.
Makhan - Sir, please, humey iss tarah niraash mat kijiye. Hum aapko apna aadarsh jungli man maante hai.
Makhan ki thodi hi dair ki Buttering se Junglesh khush ho jaata hai.
Junglesh - Theek hai, par mai sirf aadhe 12th ko fail karunga, nahi to sabko shaq ho sakta hai.
Hariya - Thanks, sir, baaki students ka intezaam hum khud kar lenge.
Moti - Arre, Hariya tu to banjar nahi raha re. Kya socha tune baaki bache 75 seniors kay baare mey ?
Hariya - Baaki 75 ko hum log apni inbuilt jungli harkato ka shikaar banakar 12th ka exams dene se rook denge.
Moti - Great idea, mere andar ka kutta to abhi se jaag raha hai.
Junglesh - Ab tum sab office se bahar jaao mujhe tumhare school kay 12th kay students se bhi milna hai.
Sheru - Sir, humare baad.....unn logo se kisi bhi tarah ki rishvat mat le lijiyega varna mere andar kay sher ki neend bahut kachchi hai.
Kuch dair baad Junglesh apne office mey Jungli Senior Seondary School kay hi 12th kay chhatro se mukhatib tha.
Abu - Howww......Sir, ye lijiye 150,000 rupaye. Hum sabhi nay khud kay aur apne papa tak kay purse se kai centimeter kum karke jodde hai. Aap humare pyare seniors ko howww.....howww.......howww........
Junglesh - Arre, aage bol Howvey.
Lili - Sir, ye Abu hai, ye to iski aadat hai.
Junglesh - Badi jaldi abu ban gaye, kiske abu hai ye ?
Abu - Howw....itne pyaar se pooch rahe hai to....apna hi samajh lijiye....howww.
Junglesh - Kya ?
Lili - Sir ye humare saath padhta hai iska naam Abu hai aur ye 'Howww....howww' karna iski aadat hai. Sir, hum aur humare juniors bade pyaar se itne saalo tak school mey saath rehte aaye hai. Iss saal hum logo kay alag honay ka khatra hai. Hum chahte hai ki aap unn sabhi ki iss saal kay 11th kay exams ki mark sheets kay saath saath 12th ki bhi jaali mark sheets banva dijiye. Taaki wo humare juniors naa rehkar humare saath kay ho jaayein aur hamesha humare saath rahein.
Abu - Howww....humare school ki parampara ko dhyaan mey rakhte huey unhe Junglipan kay alawa har subject mey passing marks kay aas paas hi number dijiyega....howww..
Junglesh - Tum sabne to unki Doctorate tak ki degree ka intezaam kar diya. Chinta mat karo mai unki 12th ki nakli mark sheets bana dunga.
Ussi samay junior jungli paltan bahar baatein kar rahi thi.
Hariya - Humey phir se kuch rupayo ka intezaam karna hoga aur uske baad, humey Lele aur Dede bhai se milna hoga.
Sheru - Ye kaun hai ?
Makhan - Suna hai ek bhai payment leta hai aur ek payment dene waalo kay dushmano ko punishment deta hai.
Wo sabhi milkar Lele bhai ko paise dekar apne baaki bache 75 seniors ko peetne ka kaam batate hai jinhe Junglesh nay fail karne se mana kar diya tha aur Dede bhai unn chinhit 75 seniors ko alag alag sthaano par pitva dete hai.
Kuch Dino baad.
Moti - ....kaam ho gaya Dede bhai ?
Dede bhai - Haan, sab itne kumzor thay ki unhe peetne mey mazaa hi nahi aa raha tha. Isliye sabki 206 haddiyo ko do-do baar ammmm kitna hua.... haan 412 baar todda. Tab bhi kuch haath nahi khule aur mazaa sa nahi aaya to sabko maar maar kar unka D.N.A. structure tak badal daala....tab jaakar dil ko thandak si mili. Iska pata tab chala jab ek ladka jo bahut 'Howww....howww' karta tha wo ab 'aau maau chaau' karne laga hai.
12th ka result ghoshit hua. Farewell kay din 11th kay students 12th ki mark sheets kay saath seniors ban gaye thay. Pehle rahe unke 75 fail ho chuke seniors unhe apne pairro par serve kar rahe thay aur 74 pitey huey seniors unhe wheel chairs par serve kar rahe thay. Ek poorva senior Abu ek koney mey pada 'aau....maau....chaau' badbada raha tha.
Iss tarah aapas kay adbhut pyaar kay kaaran pehli baar 'seniors', 'juniors' ban gaye thay aur 'juniors', 'seniors.'
The End!
No comments:
Post a Comment